Monday, April 21, 2008

Tere utaare huay din tange hain lawn mein



Tere utaare huay din tange hain lawn mein ab tak
na wo puraane huay hain.....
na unka rang utra
kahin se koi bhi seeyan abhi nahin udhri


ilayechi ke buhat paas rakhe pathar par
zara si jaldi sirak aati hain chaawon
zara sa aur ghana hogaya hai wo pauda
mein thoda thoda woh gamla hataata rehta hun
Faqira ab bhi waheen meri coffee deta hai
Gulheriyon ko bula kar khilaata hun biscuits
Gulheriyan mujhe shak ki nigah se dekhti hain
woh tere haathone ka lams jaanti hongi

kabhi jab utarti hai jheel shaam ki chhat se....
thaki thaki si
zara der lawn mein ruk kar
sufaid aur gulaabi mausambi ke paudon mein hi ghulne lagti hai
ke jese barf ka tukda pighalta jaye viski mein


tere utaare huay din pehen kar ab bhi mein
teri mehek mein kayi roz kaat deta hun


tere utaare huay din tange hain lawn mein ab tak
na wo puraane huay hain.....
na unka rang utra
kahin se koi bhi seeyan abhi nahin udhri

(Poetry by Gulzar - Narrated by Nana Patekar)


http://www.flickr.com/photos/kaafoor/